Thursday, July 5, 2007

tere jaane se . . .

. . . tere jaane se to kuch badla nahi . . .
raat bhi aayi thi aur chand bhi tha . . .
tere jaane se to kuch badla nahi . . .
saans bhi waise hi chalti hai . . . hamesha ki tarah . . .
aankh bhi waise hi jhapakti hai . . . hamesha ki tarah . . .
thodi si bheegi hui rehti hai . . . aur . . .
kuch bhi nahi . . .
tere jaane se to kuch badla nahi . . .
hont khushq hote hai aur pyaas bhi lagti hai . . .
aajkal sham se hi sard hawa chalti hai . . .
baat karne pe dhuan uth ta hai . . .
jo dil ka nahi . . .
tere jaane se to kuch badla nahi . . .
raat bhi aayi thi aur chand bhi tha . . .

haan magar neend nahi . . neeeend nahi . . .

* taken from 'Sunset Point' from Gulzar

2 comments:

Jyoti Kumawat said...

beautiful........

Hemant Kumawat said...

Woh parde mein thi jab humne apne pyar ka izhaar kiya....
Bas uske saanson ki khushbu thi charon aur jab main jee raha tha...
Jee raha that tab tak ke parda na utha tha....
Jab utha diya parda usne apne chehrey tha kaun zinda wahan....
main to uske pyar mein kab ka mar chuka tha.......