Thursday, July 5, 2007

tere jaane se . . .

. . . tere jaane se to kuch badla nahi . . .
raat bhi aayi thi aur chand bhi tha . . .
tere jaane se to kuch badla nahi . . .
saans bhi waise hi chalti hai . . . hamesha ki tarah . . .
aankh bhi waise hi jhapakti hai . . . hamesha ki tarah . . .
thodi si bheegi hui rehti hai . . . aur . . .
kuch bhi nahi . . .
tere jaane se to kuch badla nahi . . .
hont khushq hote hai aur pyaas bhi lagti hai . . .
aajkal sham se hi sard hawa chalti hai . . .
baat karne pe dhuan uth ta hai . . .
jo dil ka nahi . . .
tere jaane se to kuch badla nahi . . .
raat bhi aayi thi aur chand bhi tha . . .

haan magar neend nahi . . neeeend nahi . . .

* taken from 'Sunset Point' from Gulzar