Wednesday, March 7, 2007

Waqt


Har khushi hai logo ke Daaman me, Par ek hansi ke liye waqt nahi.
Din raat daudti duniya me, Jindagi ke liye he waqt nahi.
Maa ki lori ka ehesaas to hai, par maa ko maa kehne ka waqt nahi.
Sare rishton ko to hum maar chuke, ab unhe dafnane ka bhi waqt nahi.
Sare naam mobile me hain, par dosti ke liye waqt nahi.
Gairon ki kya baat kahen, jab apano ke liye hee waqt nahi.
Ankhon me hai neend badee, par sone ko waqt nahi.
Dil hai gamo se bharaa hua, par rone ko bhi waqt nahee.
Paison ki daud me aise daude, ki thakane ko bhi waqt nahi.
Paraye ehesaso ki kya kadar karen, jab apane sapano ke liye hi waqt nahi.
Tu hi bata E Zindagi, is Zindagi ka kya hoga.
Ki har pal mar ne walon ko, jeene ke liye bhi waqt nahi
Ki har pal mar ne walon ko, Jeene ke liye bhi waqt nahi.